Sunday, May 30, 2010

Doobti Huyi Kashti!!

Hi friends,
Once again, after a very long time, I am gonna share few more lines by me, not on any happy topic though. But well, as I have been receiving suggestions, I am gonna be adding a disclaimer here that the poem is purely fictitious and no part of it is related to mine or any of my known ones life. :) Hope you like these few lines.

is dilon ki duniya mein sheeshe se dil ka koi mol nahi,
sabhi pathar dil wale kirdar huye hain..
yahaan pyar wafa sab jhoothe se lagein,
yahan toh dilon ke karobaar huye hain..
Aankhein hai sookhi chahe bheega hai mann,
humne jana hum bhi ajab fankar huye hain..
is dil ko bhi kash kisi ne dekha hota,
iske toh tukde kayi hazaar huye hain..
jisne diye the yeh gehre zakhm humko,
hum usi ke intezaar mein bekrar huye hain..
thi hmari bhi kabhi tamanna unhein apna bnane ki,
tabhi toh us kashti pe shayd swaar huye hain..
ik toofan aaya aur doob gayi voh kashti,
hum bhi doobe beech manjdar huye hain..
kya hua jo aapne wafa na ki humse,
-->
hmari dunia k aap aaj bhi sarkar huye hain..

ik heer thi aur charcha tha ranjhe ka bhi,
aaj us ishq ko bazar mein nilaam karte hain..
aata hai naam jahan bhi wafa nibhane ka,
sabhi is anjaan diwane ko salaan karte hain..

I would surely be waiting for your comments on this one. :)
Categories: , , ,

2 comments:

  1. wah simar.. u hav completely written the truth.. actually u knw there was a time when love was treated as the purest feeling..bt these days its just a joke n a play for some people..teri ye line ek dam apt hai...ek heer thi aur charcha tha ranjhe ka bhi aaj us ishq ko bazar me nilaam karte hai..really touching n completely apt line

    ReplyDelete