Monday, March 29, 2010

Aatank Ki Kahani, AAM AADMI ki Zubani!!

Pune blasts last month pushed me to write something against terrorism, some unjustifiable acts with some innocent victims. A couple of days later, I happened to watch the movie 'A Wednesday' again and well, that further propelled my desire. Do check out the below lines, which I tried writing about what a common man, an Aam Aadmi, possibly each one of us, thinks when we come across such news. I hope you would like these lines.

 

Nikalta hun roz jab ghar se main,

ik darr sa dil mein jagta hai..

Roz ki bhagam bhag se alag,

ik mahaul ajab sa lagta hai..

 

Lagta hai saansein chal rahi hain meri,

lekin pal pal mar raha hun main..

Kahin ho na jaye yehi saans aakhri,

bas isi baat se darr raha hun main..

 

Darta hun bakery mein khane se main,

ho sakta hain chhupa ek bomb jahan..

Ab darta hun Hotel mein jane se main,

saamne aa na jaye fir ik Kasab wahan..

 

Darr darr k kab tak ji paunga main,

is darr se ab mujhko azaad karo..

Safal na ho paayein iraade unke,

jo kehte hain Hind barbaad karo..

 

Karte hain jo Mazhab ki aad mein hamle,

shayad is baat se anjaan hi hain..

Allah Ram ya Waheguru keh do,

ghayal toh hota Bhagwan hi hai..

 

Chahe nishane pe unke koi bhi ho,

akhir marta toh ik insaan hi hai..

Allah Ram ya Waheguru keh do,

ghayal toh hota Bhagwan hi hai..

 
Stop Terror, Support Peace. :)
Spread the word and don't forget to drop in your comments.

2 comments:

  1. Very True. Thanks for sharing and well written. Regards, Tulsinder Kaur.

    ReplyDelete
  2. Very good simar... keep it up

    ReplyDelete